Friday, January 06, 2006

Abhi Shadi ka pehla saal tha..

Abhi shaadi ka pehla hi saal tha, | khushi ke maare mera bura haal tha, | khushiyaan kuch yoon umad rahin thi, | ki sambhale nahi sambhal rahi thi, | subah subah madam ka chai le kar aana | thoda sharmate hue hume need se jagana, | wo pyaar bhara hath humare baalon main phirana, | muskurate hue kehna ki darling chai to pi lo, | jaldi se ready ho jao, aap ko office bhi hai jana. | gharwali bhagwan ka roop le kar aayi thi, | dil or dimag par poori tarah chhai thi, | saans bhi lete the to naam usi ka hota tha, | ik pal bhi door jeena dushwar hota tha. | 5 saal baad........ | subah subah madam ka chai le kar aana, | table par rakh kar jor se chillana, | aaj office jao to munna ko | school chhodte hue jana.............. | ek baar phir wohi awaaz ayi, | kya baat hai abhi tak chhodi nahi charpai, | agar munna late ho gaya to dekh lena, | munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena. | na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi, | dil aur dimaag par kali ghata chhayi thi, | sans bhi lete hai to unhi ka khayal hota hai, | har samay dimaag main ek hi sawal hota hai, | kya kabhi woh din laut ke ayenge, | jab hum ek bar phir kuwaaren ban payenge |

No comments: